Pages

Tuesday, April 26, 2011

SEMINAR IN LINGAYAS UNIVERSITY-FARIDABAD

March 25, 2011 ko vivekanand youth forum ke tatvadhan mein Lingaya's University me " Role of Youth
in Nation Building" "Rashtra Nirman Me Yuvaon Ki Bhoomika" Vishaye par seminar ka safal ayojan hua.
Is avsar par vidyarthiyoan ka margdarhan karne heti nimnlikhit athithi upasthit the:
 
1)      Dr. B. Basu ji (Executive Director, Indian Oil Corpration Limited) 
2)      Dr. A. A. Gupta ji (Generla Manager, IOCL) 
3)      Dr. Indushekhar Shasrti ji (Senior Research Manager, IOCL) 
4)      Shri Gangashankar Mishra ji (Research Scientist) 
5)      Shri Deepak Aggarwal ji (C.E.O.) 
6)      Shri Sunil Mishra ji (Jila Sayam Karyavah) 

- Karyakram me kul 103 vidyarthi va shikshak upasthit the. 
- Karyakram ka prarambh  IndianMilitary Acaemy ke Geet "Bharat Mata Teri Kasam, Tere Rakhshak Rahenge
  Hum" ki video clip se hua.
- Vidyarthioan ki or se Manniner Rohal(EEE Department), Aditi(IT Department), Mukesh(Mechanical Department),
  Gurpreet (Electrical Department) ne Seminar ke vishaye par apne vichaar sbhi shrotaon ke samaksh rakhe.
- Iske baad Dr. A.A. Gupta ji ne viyarthioan ka margdarshan kiya v unhe bhavishye ki chunotioan se nidar hokar par
  pane ki salah di,
- Iske pashchat Dr. B. Basu ji ne vidhyarhtioan ke sath charcha ki va unki jigyasaon ka samadhan kiya
- Shri Gangashakar Mishra ji ne apne vidyarthi jivan ki ek ghatna batai, "jab M.Tech. ki padai puri hote samay unke
  Department ke Mukya Shikshak ne sabhi Chatroan ko ghar bulaya , aur vahna sabhi se kaha ki mein tumse aaj
  gurudakshina mangna chahta hoan , aur gurudhakshina mein me do vaade mange: 1) ki vivah ke samay dahej nahi
  loge 2) aur doosra ki jahan kaam karo job hi kaam karo kabhi rishvat nahi loge aur punra imandaari se apne desh k
  eek jimmedar nagrik rahoge"
 - Iske pashchat Dr. Indushekar Shastri ji ne powerpoint presentation ke zariye kis prakar vibhin shetroan par hame
  kaam karna chahiye yeh yuvaon ko bataya.
- Iske pashchaat karyakram me upasthit Lingaya's University ke Electrical and electronics  v Electrical department ke H. O.D .
  Professor Avtaar Krishan Nadir ji ne sabhi Atithiyoan ko dhanyavad dete huye Vivekanand Youth Foum se jude vidyarthiyoan
  ko karyakram ke safal ayojan ki badhai di v bhavishya me bhi is prakar ke karyakram ayojit karne me purna sahyog dene ki
  baat kahi aur sabhhi atithiyoan ko University ki aur se smrati chinha bhent kiye.
- Ant me vande matram ke samuhik gaan ke dath hi karyakram ka samapan hua.


PAWAN SINGH(JILA COLLEGE VIDYARATHI PRAMUKH)
9212334029

1 comment:

Anonymous said...

Bahut badhiya ji :)